Saturday, February 23, 2008

tehzeeb

aapko mujhse gila hota na shikwa hota,

meri majboori ko gar aapne samjha hota.

dard ki yaad me bhi dard hai behtar ye tha,

apne jhakhmo ka hisaab humne na rakkha hota.

khwab dekhe the jo humne wo sabhi sach hote,

sochiye aisa agar hota to kaisa hota.

ye ghazal hai film tehzeeb ki. kai logo ne na to ye movie dekhi hogi aur na hi kabhi ye geet suna hoga. ek baar garmiyon ki chutti me channel surfing karte hue achanak shabana azmi ji dikhai padi. mujhe pata hi nahi tha ki kaunsi film chal rahi hai. tab thodi bahut dekhi aur uska ye geet dimag me atak gaya. storyline bhi mujhe behad pasand ayi thi. pichle saal phir achanak aise hi ye movie zoom par chal rahi thi. adhi se jyada aana baki thi to bade dhyan se dekhi. agle din cd shop par jakar mangi to shopkeeper ne poocha ki ye kaunsi movie hai. bada gussa aaya. use poori cast ki jaankari di. 10 din baad mujhe iski vcd mil payi. uske baad to pata nahi ye movie kitni baar dekhi. kuch hisse mujhe itne pasand aaye ki baar baar forward karke sirf unhi ko dekhti hoon.ye ek aisi maa aur beti ki kahaani hai jo ek doosre se bahut pyaar karti hain par kabhi jata nahi paati. kuch galatfahmiyan unke rishtey ko sard kar deti hain. urmila mantodkar mne sheershk bhoomika nibhai hai. aur arjun rampal unke pati hain aur is movie ke sutradhaar bhi. dia mirza ne aisi choti bahen ka kirdaar nibhaya hai, jo ki mansik roop se vishipt hai. chhotimoti kamiyon par dhyan na dekar agar sirf kirdaron ke aapsi rishton aur bhavnao par dhyan kendrit kiya jaaye to ye nissandeh badi hi pyaari film hai.

1 comment:

  1. is movie ke review padhe the aur zoom par diya aur shabana ko dekha bhi tha par phir kuch kaam ki wajah se ise aage nahin dekh paya.

    ReplyDelete