Thursday, February 21, 2008

dard ke phool

dard ke phool bhi khilte hain, bikhar jate hain

jakhm kaise bhi hon kuch roz me bhar jaate hain.

raasta roke khadi hai yahi uljhan kabse,

koi puche to kahen kya ki kidhar jate hain.

chat ki kadiyon se utarte hain mire khwab magar,

meri deewaron se takrakar bikhar jate hain.

narm alfaaz, bhali baatein, muhajjab laheje,

pehli baarish me hi ye rang utar jaate hain.

us dareeche me bhi ab koi nahi aur hum bhi,

sar jhukaye hue chupchap guzar jate hain.

-javed akhtar (tarkash)

ye bahut bada sach hai ki jakhm chahe kitna bhi gehra ho, dukh chahe kitna bhi bada ho, sab kuch hi waqt tak pareshan karte hain. uske baad unke saath rehne ki aadat ho jati hai. koi zindagi me aaye ya jaye, zindagi kabhi kisi ke liye rukti nahi, khatam nahi hoti. hume sab kuch na bhool kar bhi bhoolne ka dikhawa karna hi hota hai, kunki roone wale ke saath koi nahi roota. aakhir roone se hasil bhi kya hoga. sirf intejaar kiya jata hai. intejaar- ye shabd meri niyati ban chuka hai. jab tak wo saath thi kuch aur chahiye hi nahi tha. wo mere liye sab kuch thi. my friend, philosopher and guide.main nahi janti ki kaun kitna ghalat hai par us se door hone ke alawa mere paas koi aur raasta nahi tha. kaash kabhi wo sahi sabit ho paye.uska ghalat hona mere vishwaas ko bahut badi thes pahuchayega. mein bas prarthana kar sakti hoonki kam se kam is baar maine insaan ko samajhne me dhooka na khaaya ho.

3 comments:

  1. Javed ji ki achchi ghazal hai zindagi ka phalsafa yahi hai. Neeraj ki prerit kuch panktiyan yaad aa rahin hai jo udaasi aur mayoosi ke daur mein humesa man mein umang bharti hai...

    Chip Chip ashru bahaane waalon
    Moti vyarth lutane waalon !
    Kuch sapnon ke mar jane se jeevan nahin mara karta hai


    Mala bikhar gayi to kya hai
    Khud hi hal ho gayi samasyaa
    Aansoo gar neelaam huye to
    Samjho poori huyi tapasyaa
    Roothe divas manaane walon!
    Phati kameez silaane waalon!
    Kuch deepon ke bujh jaane se aangan nahin mara karta hai

    ReplyDelete
  2. thank you so much for your encouraging words manish ji. vishwaas kijiye zindagi se thodi si hairaan hoon, pareshan hoon, par naraz nahi hoon. sakaratmak soch banaye rakhne ka vaada maine apne aap se kiya hai jo main kisi bhi keemat par nahi toodungi.

    ReplyDelete
  3. हिन्दि मे खोज!
    http://www.yanthram.com/hi/

    हिन्दि खोज अपका सैटु के लिये!
    http://hindiyanthram.blogspot.com/

    हिन्दि खोज आपका गुगुल पहेला पेजि के लिये!
    http://www.google.com/ig/adde?hl=en&moduleurl=http://hosting.gmodules.com/ig/gadgets/file/112207795736904815567/hindi-yanthram.xml&source=imag

    ReplyDelete