Friday, February 22, 2008

tujhse naraz nahi zindagi

aaj us geet ke bol man-mastishk me goonj rahe hain jo pata nahi kaise dheere dheere meri pehchan ban gaya hai. mere sabhi mitron ke, parichiton ke samne kisi choti moti mehfil me, ya fir kisi bade se jalse mein ye geet mein kitne baar gaa chuki hoon ye mujhe khud bhi yaad nahi hai. is geet se mera parichay kab hua ye to mujhe yaad nahi par colledge me freshers ke liye audition ho rahe the. mujhe jab kuch bhi apni pasand ka sunane ke liye kaha gaya to mujhe ye hi geet yaad aaya. us din se aaj tak bas yahi geet hai jo hamesha mere hoothon par rehta hai. aalam ye hai ki koi neend se utha kar gaana gaane ko kahe to yahi gaaungi. waise ye ek ghazal hai jo ki gulzar saheb ne likhi hai. iske shabdon me itni taakat hai ki ghazal ki shuruwaat ke saath mahaul sanjeeda hona shuru hota hai, madhya mein pahunchne tak gane wale aur sunane walon ki aankhon me aansoo jhilmilane lagte hain aur ghazal ke khatm hone par sabke hoothon par ek bheegi si muskurahat dikhai padati hai.
ye ghazal hai film masoom ki jise lika hai gulzar ne aur sangeetkaar hain R.D. Burman. lata ji ki awaaj me jab ye geet sunai padta hai to mein sab kuch chod kar sirf ise sunane baith jaati hoon. har baar sunane par kuch naya seekhne ke liye milta hai. phir chahe wo sur ki koi baareeki ho ya zindagi ki sacchai. kehte hain ki kisi ka bhi dard kam ya jyaada nahi hota. dard sirf dard hota hai. is ghazal me har insaan ka har dard pratibimbit hota hai. isliye shayad aaj tak aisa koi bhi nahi mila jiski aankhen ye ghazal sunkar na jhilmilayi ho. bahut dino se iske baare me likhna chahti thi par shabd saath nahi de rahe the. aaj wo shubh muhurat aa hi gaya

tujhse naraz nahi zindagi hairaan hoon main,
tere masoom sawalon se pareshan hoon main.

jeene ke liye socha hi nahi dard sambhalne honge,
muskuraye to, muskurane ke karz utarne honge,
muskuraun kabhi to lagta hai jaise hothon pe karz rakha hai.

aaj agar bhar aayi hain boonden baras jaayengi,
kal kya pata inke liye aankhen taras jaayengi,
jaane kab gum hua, kahan khoya, ek aansu chupa ke rakkha tha.

zindagi tere gham ne hame rishtey naye samjhaye,
mile jo hame, dhoop me mile, chhaon ke thande saaye.

tujhse naraz nahi zindagi hairaan hoon main,
tere masoom sawalon se pareshan hoon main.

2 comments:

  1. behad pyara nagma hai. waise bhi gulzar mere priya geetkaar hain. Sa re ga ma pa mein haal hi mein Amanat Ali ne is khoobsurti se ise gaya tha ki sabki aankhein nam ho gayin thin.

    Waise aapko ise apni aawaaz mein blog par lagana chahiye tab is geet se aapki mohabbat au nikhar kar aayegi.

    uske liye kisi bhi recording software like Audacity download kar record karein...mp3 ya wma mein convert karein aur phir net pe upload kar dein.

    aur ye word verification off karein settings mein jakar :)

    ReplyDelete
  2. aur haan ise ghazal ki category mein na rakhein. Ye ghazal nahin hai, nazm keh sakti hain..

    ReplyDelete