sach ye hai bekaar hame gham hota hai,
jo chaha tha duniya me kam hota hai.
dhalta suraj, faila jungal, rasta gum,
humse pucho kaisa aalam hota hai.
gairon ko kab fursat hai dukh dene ki,
jab hota hai koi humdum hota hai.
jhakhm to humne in aankhon se dekhe hain,
logon se sunte hain marham hota hai.
jhehan ki shaakhon par ashaar aa jate hain,
jab teri yaadon ka mausam hota hai.
JAVED AKHTAR.
(ashaar - sher)
in shabdon ki vyakhya karne ke liye mere pas apne koi shabd nahi hain. bas itna hi janti hoon ki bacchan ji ne sahi kaha tha ki " man ka ho to acchha, na ho to aur acchha"
isliye jab bhi man ke virrudh kuch hota hai to yahi umeed lekar chalti hoon ki shaayad meri taqder me kuch aur hai jo yakeenan mere is khwab se jyaada khubsoorat hoga.
No comments:
Post a Comment