Wednesday, February 27, 2008

filhaal

aye zindagi,
ye lamha jee lene de.

pehle se likha, kuch bhi nahi,
roz naya kuch likhati hai tu,
jo bhi likha hai, dil se jiya hai,
ye lamha filhaal jee lene de

masoom si hasi bewajah hi kabhi hoothon pe khil jati hai
anjaan si khushi behti hui kabhi saahil pe mil jaati hai,
ye anjaana sa darr ajnabee hai magar khubsurat hai jee lene de
ye lamha filhaal jee lene de

dil hi me rehta hai, aankhon se behta hai, kaccha sa ek khwab hai,
lagta sawaal hai, shayad jawaab hai, dil phir bhi betaab hai,
ye junoon hai to hai, ye sukoon hai to hai, khubsurat hai jee lene de
ye lamha filhaal jee lene de.

movie- filhaal
lyricist- gulzaar

is geet ke baare me jyaada likhna vyarth hai.iske bol seedhe aur saral hain.
zindagi me kabhi kabhi kuch aise rishtey bante hain jinka koi naam nahi hota, koi pehchaan nahi hoti. wo kuch sukoon ke pal jo in rishton ki badaulat hamko naseeb hote hain wo bade anmol hote hain. kuch rishtey benaam hi reh jaayein to hi achcha rehta hai. ye rishtey hamari himmat bhi hote hain aur kai baar anjane me hi hamare muskurane ki wajah bhi. kuch sawaal aise hote hain jinka koi jawaab nahi hota. kuch pareshaniyaan aisi hoti hain jinka koi hal nahi hota. par zindagi kahin bhi theharti nahi hai. ye apni gati se badhati hai. aur iske saath me badhate hain hum. par ye bhi sach hai ki zindagi jeene me aur katane me bahut fark hota hai. tareef ki baat to tab hai jab dard me bhi lab muskurate rahein. hum zindagi ke nagme gungunate rahein aur aane wale kal ka besabri se intezaar karein. ek aise kal ka jo yakeenan aaj se behtar hoga. hazar takleefein jhelte hue bhi zindagi ko zindadili se jeene wale sabhi logon ko mera salaam.

No comments:

Post a Comment